Sad Shayari

Heart Touching Sad Shayari Collection

Khawab posh aankhon me

Khawab posh aankhon me,
Aansuon ka bhr jana,
Hasraton k sahil per,
Titliyon ka marr jana,

Habs ki hawaon me,
Khushbuon ka darr jana,

Dil k garm sehra me,
Hashar hi barpa hona,

Dard la-dawa hona,
Kya bohat zruri tha,

youn tera “Juda” hona.
Kya bohat zruri tha…!!

Comments are closed.

Loading...