in

Dhal gaee shaam INTEZAR-E-YAR Mein

 
Dhal gaee shaam INTEZAR-E-YAR Mein
Hota hai yehi aksar AITBAR Mein
Wo PHOOL jo kisi ke PYAR Mein khile
MURJHA gaye usi ke INTEZAR Mein
Dunyaan ki RONAQEN Yuun-hi Simat Gayi
Bankar Wafa NIGAH-E-ASHQ-BAAR Mein
SAZISH Nahi Kisi ki QISMAT ki Be-Wafai
Dooba hua JIGER hai Intejaar Mein
Weeranion K DAI-REY Zameen-o-Aasman Pe
Kahin koi Khushi nahi IKHTEYAR Mein
DHADKAN Mein Jagti Jeeti Jawan UMANG
Qaid ho Gayi Hai kisi MANZAR Mein
MUSKAN-e-SHAB koi chand-ni Thi Shayed
Toota Sitara Deedar-e-Yaar Mein
KHUSHBOO Khareed Laana Sasti Mile Jo ‘JAAN’
Girti hain Roz Qeematain BAZAAR Mein

Hum apne DARD ka shikwa UN se kaise karen

Aik Ashk Ki Qeemat Ho Agar Aik He Paisa