in

Rait par likh ke mera naam mitaya na karo

Rait par likh ke mera naam mitaya na karo,
Ankhen sach bolti hai pyar chupaya na karo.
Log har baat ka afsana bana lete hain,
Sab ko halat ki rudad sunaya na karo.
Ye zaruri nahin har shakhs masiha hi ho,
Pyar ke zaKhm amanat hain dikhaya na karo.
Shahar-e-ehsas main patthar bahut hain,
dil ko shishe ke jharonkhon main sajaya na karo.

Kuch to hai tu badal gai hai

Bewafai ki saza kuch aisi