in

Jab jab dard ka baadal chhaya

 
 Jab jab dard ka baadal chhaya
 Jab gham ka saya lehraaya
 Jab aansoo palkon tak aaya
 Jab yeh tanha dil ghabraaya
 Hum ne dil ko yeh samjhaya
 Dil aakhir tu kyun rota hai?
 Duniya mein yun hi hota hai
 Yeh jo gehre sannate hain
 Waqt ne sabko hi baante hain
 Thoda gham hai sabka qissa
 Thodi dhoop hai sabka hissa
 Aankh teri bekaar hi nam hai
 Har pal ek naya mausam hai
 Kyun tu aise pal khota hai
 Dil aakhir tu kyun rota hai

Zindagi k har mod pe kuch is tarah aazmaya gaya mujhe

Kya Bharosa hai Zindagani ka